Woman's rights

Jab main pehli baar iss duniya mein ana chahti thi tabhi mujhe ane se rokne ke liye sabse pehle papa ne aur unke ghar waale ne mujhe iss duniya mein ane se rokne ke liye doctor se kaha ki mere najuk se badan pe chura chala do,usne bhi waisa hi kiya doctor ko bhi mujhpe daya nahi ayee,bas maa meri chahti thi ki main aaon iss duniya mein.lekin aa nahi payi.

Jab main chahti thi ki main achchi education paake naukari karu tabhi papa ne meri shaadi kar di,mujhe padhne bhi nahi diya.chahti thi main apne pasand ke ladke se shaadi karne kaa lekin who bhi naa ho saka.

Jab shaadi hui tab sasuraal waalo ne dahej ke naam par mujhe sataya aur phir jala kar maar daala.

Hamesha main dushro par aashrit rah gayi kabhi pita par,kabhi husband par,kabhi bête par kya itni si hi duniya hai meri.

Main bhi chahti hun ki samaj mein mujhe bhi barabri kaa darja mile kyunki Hume Samanta Ka rights hai.

Maine hamesha ladki hone ki saja kaati hai,uski kimat chukaya hai apne armano ko maarkar,kya ladki hona meri galti hai.

Main bhi chahti hun ki main ladki hone ki kimat naa chukaaun,bina kisi kimat chukaye jiun,main bhi birds ki tarah jeena chahti hun bina kisi bandish ke, 
Mujhe v apne tarike se zindagi jine ka rights hai. 



  

Comments

Popular posts from this blog

Ek ladki ka ghar sasural aur maayka dono hai.....

population in india

kanya bhrun hatya