NAARI....

Maa ke kokh se janmi par amant kisi aur ki,
Zindagi meri hak kisi aur ka,

sharir meri thi hak pati ka tha,
Naam toh mera tha lekin  surname pati ka,

Maang meri thi sindoor pati  ke nam ka,
Gala mera Mangalsutra  pati ke naam ka,

Jitiya mere gale me tha lekin woh v bacho ke naam ka,
Vrat meri pooja pati aur bacho ke naam ki,

kokh meri thi lekin vansh khaandaan ka tha,
zindagi toh meri thi lekin uspe haq tha bachcho ka,

Maa ke kokh se jab baahar aayi toh laga ki duniya toh bahut khubsorat hai,
lekin kaha pata tha zindagi toh meri hogi lekin hak kisi aur ka hoga,
maa ke kokh se baahar aane ka decision v kisi aur ka tha.

Jab v apne liy jina chaaha toh maa baap ne kaha amanat ho kisi aur ki,
Jab v apne liy jina chaaha toh pati ne kaha ijjat ho tum meri mere hissab se jiyo,
Jab v apne liy jina chaaha toh sabne kaha bacho ko kaun dekhega,
Jab v apne liy jina chaaha toh bachcho ne kaha ab rahne do,
Jab  apne liy jina chaaha toh yamraaj ne kaha ab tumhari zindagi pe mera hak hai.


Comments

Popular posts from this blog

Ek ladki ka ghar sasural aur maayka dono hai.....

population in india

kanya bhrun hatya