karwa chauth.....

karwa chauth ka vrat kaartik maas ki shukla paksha ki chaturthi tihi ko manaya jaata hai,yeh vrat pati ki lambi aayu aur akhand saubhagya ke liy kiya jaata hai. Iss parv ko hum karak chaturthi ke naam se v jaante hai.yah parv bharat mein punjab,hariyana,u.p,m.p,rajasthan mein vishesh rup se manaya jaata hai. 4 baje se pahle suhagin aurtein sargi khaati hai uske baad subah uthke sabse pahle naha dho ke vrat karne ka sankalp karna chahiy. Suhaginein din bhar nirjala vrat karti hai aur shaam ko16 shringaar karke mata parwati,shankar bhagwan aur ganesh g ki puja karti hai. katha sunti hai karwa chauth ka. Suhagin aurtein besabri se chaand ka wait karti hai. Chaand nikalne ke baad chandradev ko arghya deti hai unki puja karti hai. Apne pati ki aarti karti hai. Chalni se unka chehra dekhne ke baad pati ko pranam karti hai. Pati apni patni ko paani pilakar uska vrat kholte hai. Pati apni ke liy kuch gift v dete hai. Vrat kholne ke baad ghar ke sabhi bade bujurgo ka aashirwad ...