Poem - naari.....
Maine baaton ko bardaasht na kiya hota, kabhi saas-sasur ke kabhi nand ke kabhi jethani ke toh kabhi pati ke kabhi bachcho ke toh yeh ghar sirf ek makaan ban gaya hota.
Maine ek lamha v apne baare mein na socha,
Jo socha hota toh meri zindagi ki kahaani mein maujo ki rawaani hoti na ki tyaag ki kahaani hoti.
Main v uss diya ki tarah hun Jo khud jalkar dusro ko raushan karti hai,
Jo main na jalti toh yeah jahan raushan na hota.
yeah jahan kabhi rahne laayak na hota,
Jo humne prithvi par basse ghar ko sajaane ka jimma na uthaya hota.
Jo humne pyaar se rishton ko sincha na hota ,
toh jahan mein pyaar ka phool na khila hota.
Main hun stree na samjho sirf tree,
Jo dhoop mein v tumko nahi deti jalne,
Jo khud jalkar sitalta ka ehsaas karaati sabko,
Aur pankhe jaisa hawa v deti sabko,
waqt aane par bhukh v hai mitaati.
V. Very True...
ReplyDeleteLove ๐ it