Happy New Year
New year hum celebrate toh karte hai lekin kuch log aise celebrate karte hai ki apna hosh bhi kho baithte hai,jashn mein woh itna dub jaate hai ki unhe pine ke baad itni bhi hosh nahi hoti ki unhe party karne ke baad ghar gaadi drive karke v jaani hoti hai.agar aapne galti se nashe mein raah chalte ko thokar maar diya toh uski Jaan maan lijiye chali gayi aur saath hi apko bhi chot jyaada lag gayi toh kya faayda itna jyaada pikar naya saal manane se jab jeevan hi na bache apni aur dusro ki.sochiye agar nashe mein galati se v apki ya kisi dusre ki Jaan chali gayi toh kya who waapis milega.new year toh har saal aata rahega lekin aapka Jo kho gaya woh kabhie nahi milega .
Main logo se sirf itna hi kehna chaahti hun ki new year manaye magar itna na piye ki apna hi nuksaan kar baithe.hum aurtein,bachche nahi pite toh hum kya naya saal celebrate nahi karte,kya humein khusi nahi hoti hai, hoti hai won v bina piye bina nuksaan kiye.happy new year.
Comments
Post a Comment