About Life.....



Hamara hamari jindagi par kya koi control hota hai,kya hum jaisa chahte hai kya sab kuch waisa hi hota hai?auro ka toh mujhe pata nahi par mere saath waisa nahi hota hai jaisa main chahti hun.mujhe aisa lagta hai jaise hamari zindagi hamari nahi hai,aisa lagta hai jaise ki hamari zindagi ki dor kisi aur ke haathon mein hai,jaise ki filmo mein hota hai.ek actor ya actress ki dor director ke haathon mein hoti hai,jaise director kehta hai usse waisa hi karna padta hai,kahani sab kuch likhi hui hoti hai bas actor use nibhata hai,hamari zindagi bhi aisai hi hoti hai hamari dor bhi bhagwan ke haathon mein hota hai, hamara director bhagwan hota hai,hamara kaam hota hai bas dharti par aakar apna role nibhana.sabko apne apne hisse kaa role nibhana padta hai jaise hi role khatam hota hai hum waise hi iss duniya se chale jaate hai.

Jab bhi hamare saath kuch bhi bura hota hai tabhi hum kisi aur ko dosh dete hai ki usne hamare saath bura kiya,uske karan meri zindagi mein sab kuch bura ho raha hai,lekin hum yeh nahi samjh paate ki yeah sab Jo kuch v hua woh niyati thi,hume karna hi padega,chaahe isse ro kar karo yaa hans kar,chaahe khusi se karo yaa udaas hokar karo karna toh hai hi.isliye khusi ho yaa gum sab hans kar karo zindagi aasan ho jaayegi,par kya karu dil hai ki maanta nahi.

dusro ki zindagi kitni sukhi lagti hai dekhne mein dur se,aisa lagta hai jaise ki sirf hamare jivan mein hi gum hai aur kisi ke jeevan mein nahi hai par hum galat sochte hai,jab saamne jaaoge aur dekhoge toh lagega ki inke jeevan mein toh humse bhi jyaada gum hai.gum har kisi ke jeevan mein hota hai kam yaa jyaada hota jarur hai,isliye kahti hu jiyon jindagi ji bharkar kar bina kuch bhi soche ki hamare jivan mein dukh kyun hai.

jis mein bhi jeevan hai woh naashwaan hai use nasht hona hi hai,hum bhi naash hone ke liye hi aaye hai,janam hua hai toh mritu bhi hogi hi yahi jeevan kaa niyam hai, bas itni si baat agar aasani se hum samajh jaayenge toh hamara jeevan bahut hi aasan ho jaayega.aisa mujhe lagta hai apko kya lagta hai mujhe pata nahi.







Comments

Popular posts from this blog

Ek ladki ka ghar sasural aur maayka dono hai.....

population in india

kanya bhrun hatya